Friday, August 6, 2010

JaI HiNd......................

2001 ke "sansad bhawan" hamle ke aaropi "afjal guru" ke sambandh me hamari rajnetik or nayayik byabastha ki kamjoriya sayad hi kisi se chipi ho.


in sab bato ke bavjut mumbai taj hamlo 9/11 ke sambandh me pakde gaye ak matra fiyadeen aatankbadi-'ajaml- aamir- kasab' ko lekar chal rahe hamare "byabasthatmak upphas" ko kab tak chalaya jayega ye kuch nischit nahi kiya ja sakta.

chuki abb ye sarvbomik stay nirdharit ho chuka hai,ki aatankbad ki janambhumi pakistan hi hai.to akhir bhartiya baybastha kasab ke liye spcial sell banakar 50 lakh or bulet froof gadi par 6 caror khyo khach kar rahi hai, yaha in sab kratyo se hame or surag milne ki aasanka hai, jabki hum jante hai ki hamara pesa firoti, habala, seyar market,banking,aslil byapar nasile bayaparr ke maddyam se anken prakaren aatankio tak pahuchta hai,ajj brastachar hamari jado tak pahuch chuka hai or pesoo se sab kuch kharida ja sakta hai, is adhar par bhartiya bhumi par atankiyo ka aapna kayakram banana tatha usme madad prapt karna jara bhi achrachpuarn nahi lagta.

bartman me kasab ka pakistani bakil ki mang karna or aapne ko hamlo ke samye nabalik batakar bal apradhi ki tarha pes karna orr khuch nahi hamaei nayayepranali ki kamjoriya hai,jise hum kud pasray dete aaye hai.

chuki aatankbad manbiya kraty nahi hai atha: is adhar par aatankbadio ko manav man kar un par bhartiya nayayepranali ke antargat mukadma chalana aapne app me muraktha hogi.

jis des me 3 caror janta garibi ki rekha se niche jivanyapan kar rahi ho banha par ak vastabik apradhi par saskiya dhan ( janta ka pesa ) pani ki tarha karch karna "astin me sap palne" se aalag khya hai.







sandeep verma.......